Pahaar (Mountains- ek nasha)

Pehlay tou sirf suna tha kai paharoon ki latt lag jaye tou bas lag he jati hay, magar jab khud isko experience kiya tou yaqeen hogaya kai pahar charhna ek nasha hay.

Paharon ka apna ek shor aur apni he ek khamoshi hoti hay, kuch logon ko woh khamoshi; bezaar karnay wala sannata lagti hay tou kisi ko pur sukoon, ab is ehsaas ko alfaaz mai bayan karna us ehsaas kai saath kuch na insaafi hogi jo apko un paharoon kai darmyaan moujod hokay hota hay.

11838687_962878847104898_2036202835727997076_o

Jaisay hum insaanon ki apni alag alag personality hoti hay issi tarah in paharon ki bhi apni personality aur apna ek andaaz hota hay. Har pahar dosray say mukhtalif aur apnay aap mai ek pur asraryat rakhay huay hay. Koi baraf say lada hua safaid chadar orhay durr say he apkay wajood ko jama deta hay, tou koi banjar chatanon jaisa pahar apko apni sakhti say dara daita hay aur kahin koi pahar darakhton say ghira hua, hara bhara, apko zindagi aur taazgi ka ehsaas deta hay; bas yeh kai har pahar ki apni he ek feeling hoti hay.

Yeh oonchay lambay, maghroor pahar apnay andar kuch aisi kashish rakhtay hain kai jo insaan zara sa bhi hassas ho woh kuch arsay tak inhi kai ehsaas aur soochon mai khoya rehta hai aur kuch dhoondta rehta hay, woh kiya dhoond raha hay, kis talash mai hay, usay khud bhi samajh nahi aata, bas issi tarah in paharon say ek anjana aur gehra rishta jur jata hay, aur phir ek bechaini si rehti hay har waqt in say dobara milnay ki, in say baatien karnay ki, inko mehsoos karnay ki aur in may kho janay ki.

Issi tarah mainay bhi un ginat paharoon say apna rishta jora hay, jis ki kahani mai aapko anay walay blogs mai sunaoongi 🙂

 

2 thoughts on “Pahaar (Mountains- ek nasha)

  1. faisal mansoor soofi November 23, 2016 — 6:05 pm

    wah , a passionate nomad !
    Himalayas thriving with diverse life forms and their interactions this ethereal beauty is truly magical, & The Karakorum beyond yet totally connected is the awesome winter wonderland with its magnificent watersheds…..not to forget the mysterious Hindu-Kush and the Pamirs further north…..from TirchMir to Diamoory to Chhogori all bow in submission paying homage to the nourish-er of life forms the mighty serpent with thirteen heads !!
    …..only if those stones could speak !

    Liked by 1 person

Leave a comment